Saturday, December 24, 2011

Mere humsafar

Mere HUMSAFAR teri berukhi dil-e-mubtala ki shikast hai
Isse kis tarha main kahoon fatah yeh meri anna ki shikast hai

Tu chala gaya mujhe chor ker maine phir bhi tujh ko sadaaein dein
Mere HUMSAFAR tu ruka nahi yeh meri sada ki shikast hai

Tujhe la k dil main bitha diya tujhe raaz har eik bata diya
Tune phir bhi koi wafa na ki yeh meri wafa ki shikast hai

Mian charag-e-khoona mizaaj tha tujhe bijliyon ki talab rahi
Mujhe aandhiyon ne bhuja diya yeh meri ziya ki shikast hai

Mujhe iss tarha na satao ge mujhe zoam tha k na aao ge
Mera ghalat wehm-o-gumaan hi meri inteha ki shikast hai

Mujhe koi tujh se gilla nahi tu mila tha kab k bichar gaya
Mere jurm ki hai yeh saza yeh meri saza ki shikast hai

Meri khamoshi k byaan ko tu samjh k bhi na samjh saka
Mere aansoon k pyaam hi dil-e-benawa ki shikast hai

Ghum-e-dastaan-e-hayaat k sabhi tazkare hoe rayegaan
Mere charagar tera yeh hunar meri har dua ki shikast hai

Mujhe razmagah-e-hayaat main youn kabhi na koi gira saka
Teri khamoshi ki pukar hi meri ibteda ki shikast hai